halate qalb-o-dil
Dil mein koi baki armaan nahi hai
rasta kamyabi ka, aasan nahi hai!!!!!!
manzilein to manzilein, karvan bhi door hai
sehra se rasta hai, gulistan nahi hai!!!!!
halaate qalb-o-dil, bekar kyun sunaun
jab tu hi hamara dilbar, negehban nahi hai!!!!!
numaish yeh darde dil ki, tu kaise dekhti hai
kya raham-o-karam ka zalim, dil mein makan nahi hai!!!!
awaaz-e-khalq gar jo, naqqarai khuda hai
kya teri sada mein asim, dil-e-bekaran nahi hai!!!!
Khan M. Asim 31/08/2006
1 comment:
teri rah mein patthar ban hum bichh jaate,
mera dil is kadr to pareshan nahi hai..........
gard-alluda chehro ki ibaadat dekh Saki,
kya mazak hai masiha abhi hairan nahi hai....
Post a Comment